Wednesday, August 5, 2009

Cheap Dialogue Abhiyaan (CDA): Concept: Amit Srivastav and Rajkaran

"arei...khade khade muh kya dekh rahi hai....jaa aur sabka muh meetha kara"- Amit

"aaj se thik bees saal pehle ki baat hai....tab tu meri kokh mein tha... - AMIT

woh kehte hain naashta jaisalmer mein karenge.....naashta to aaj hum unka karenge..... - AMIT

Oye!! Tum ek kaagaz par dastkhat nahi karoge toh kya Tara Pakistan nahi jayegaa.... border - AMIT

Manhus, kamini.. kulakchini... aatee hi, mere bete ko khaa gaayi - Ankur Soni

"to unn kasmo ka kya, jo hum dono ne khayii thi... bhagwan ko sakshi maan ke... - Ankur Soni

tumhari behan/maa/premika humaree kabze mein hai... chup-chap kaali haveli ke pechche aa jao.. aur haan! zyada chalaki karne ki koshish na karna....- Ankur Soni

Iss PAAPI PAET KYA KYA KARATA HAI... - Ankur Soni

aaj se tera ghumna firna.. college jana band.....- - Ankur Soni
yahan sab kuchh milta hai maa bas nahi milta hai to tere haath ka khana - Amit

tum mujhe galat samajh rahi ho....kaash main tumhe sach bata sakta... - Amit

"Aaj hum do se teen hogaye"- K. Akshay aka Kockky

Maa dekho mein first class first aya hun - K. Akshay aka Kockky

"Main tumhein bhul jaun yeh ho nahi sakta ........... Aur tum mujhe bhula do yeh main hone nahi doonga" -- Varun p Singh

Thhero!...Yeh shaadi nahi ho sakti...- RajKaran

Ab kya hoga...Ghar mein do-do jawaan betiyaan hain...-RajKaran

He He Ha Haa... ab tumhari cheekhein is char diwari ke bahar koi bhi nahi sun sakta... RajKaran

Munni ke daddy zarraa suniye....aaj shaam ko ghar jaldi aa jaiyega.... munni ka janamdin hai...- RajKaran

...Aaj tumhare haath ki chai peene ka bahut mann kar raha hai bhabhi... - RajKaran

...Mujhe aaj bhi woh bhayanak raat yaad hai, bahut zorr se baarish ho rahi thi....- RajKaran

"Par PAPA me Suresh se pyaar karti hun..." - CDA "Mukesh Ghuraiya"

"Beta aaj mene teri pasand ki kheer banayi hai..."" - "Mukesh Ghuraiya"

Maa dekh to tujse milne kaun aaya hai..." - "Mukesh Ghuraiya"

"karamjali....ghar ka kaam kya teri maa karegi....' Pallavi

Ekk baar, bas ekk bar mere aankho main aankhen daal kay kahe do ki tum muj say payar nahi kartey : Shantanu aka Chachha

Kamine, tune hamari ijjat ko mitti me mila diya. Nikalja is ghar se. Aaj se tu mera beta nahin aur me tera baap nahin. Samajh le ki tera baap mar gaya. Shantanu aka Chachha

..tum ye mat sochna tumhari dukh bhari kahani sun ke mujhe tumse hamdardi ho gayi hai....mujhe tumse pyaar ho gaya hai, pyaar - Akshay Appu

paapi darindey.......bhagwaan ke liye mujhe ch(r)odd do- Naren katara

main tumhare bache ki maan banne waali huun - Naren katara

dafa 302 ke tahat, mulzim ko maut ki saza sunai jaati hai.- Naren katara

Kalmoohi! Maine tujhe issi din dekhne ne liye paidaa kiya thaa!Ke tu mere peeth peechey gulcharrey udhatee phirre - Naren katara


After operation mother of hero/ heroine- "Docter sab! main use kab dekh sakti hoon" doc- "inhe ab dawa ki nahi dua ki jarrorat hai" - " aaj se main tumhe.. apni.. zameen, jaidad, yahan tak ki apni jindagi se bhi bedakhal karta hoon..." - Dwarika Uniyal

" nikal ja.. abhi isi waqt... mere ghar mein teri koi jagah nahin" - Dwarika Uniyal

" leejiye.... doodh pee lejiye.. " suhagrat scene - Dwarika Uniyal

" hai re dayya... mujhe sharam aati hai... chodo.. chodo.. haath chodo.. koi dekh lega.... log kya kahenge"... dating scene - Dwarika Uniyal

" ae ma.. la.. roti de....bahut bhookh lagi hai.." mithun da - Dwarika Uniyal

" aaj main apne haathon se tujhe roti khilaaoongi.. mera beta jo vilayat se aaya hai..dekha kitna patla ho gaya hai.." over obsessed mother- Dwarika Uniyal

Others: ma...hum ek baar jite hain, ek baar marte hain, shaadi bhi ek baar hoti hai, aur pyar....pyar bhi ek hi baar hota hai

I am sorry bachhe ko to humne bacha liya....par aapki patni. nanga nahaega kya.. aur nichodega kya

Heroine: Mein tumhaare bachche ki maa banane waalee hun!

Kullachchini, maine tujhe issi liye paal-pos ke badaa kiya thaa ke tu mujhe yeh din dekhaaye?!

Old man: Bees saal pehle ki baat hai...

No comments:

Post a Comment